17 th may 2009 , pichhe mudkar apne un char saalon ko dekhti hun , anginat pyari yaadon ki tasweer si ban jati hai .
Raftar se chalti hui wo meri car jane kitni hi un raston ki tasweere mere samne leke aa rahi thi , par mujhe toh apni in 4 saloon ki hi tasweer nazar aa rahi thi, ek din tha jab mujhe ghar se jane ka gam tha , naye cheron ko na jane kyon apna na manne ka dil tha , aur aaj wahi chere jo kabhi mere apne na the , mere dil main Is kadar bas gaye hain jinki yaadien mere jeevan ka hissa ban gayi hain.
Raftar se chalti hui wo meri car jane kitni hi un raston ki tasweere mere samne leke aa rahi thi , par mujhe toh apni in 4 saloon ki hi tasweer nazar aa rahi thi, ek din tha jab mujhe ghar se jane ka gam tha , naye cheron ko na jane kyon apna na manne ka dil tha , aur aaj wahi chere jo kabhi mere apne na the , mere dil main Is kadar bas gaye hain jinki yaadien mere jeevan ka hissa ban gayi hain.
Yaad h mujhe college main pahla din aur pahli classs , kitni dari sahmi thi main, par in char salon main mera ghar mera mandir ban gaya tha ye college aur ye classes. Sidheeyon par baithkar woh hamara padhna , woh class main chit pass karna , Sabhi ka saath main pure josh ke saath SIR bolna , proxy pure confidence se lagana, Free periods main antakshari khelna, MMIC aur Radar ki class ke liye seats par chad chad kar jana,
Apurva ka hamesha baagawan gana , Iti ka hamesha har class main sona , chawla aur mera hamesha ek dusre ke haathon par likhna , Kavi ka hamesha naye naye plans banana , juhi ka hamesha gaurav sir ki class me late aana, gajjar ka viva time mast wali hindi me cocepts samjhana, Mohit sir ki class ko fully enjoy karna aur labs main E5 ke saath unke confessions , raat raat bhar placements ke liye college hi rukna , aur koi class free hote hi sabka café bhag jana , pichhe ki seats par baith kar assignment karna , aur viva ho ya exam hamara ek dusre ko padhana..............................................................
tech fest ka time aur itni bhag daud par phir bhi full josh ke saath kaam karna, who hamesha paron main jute pahnana , munh par scarf or sardi ho ya garmi hamesha chata hona, din maheene aur ye char saal kaise gujre or ek yaad banker rahe gaye, ab na ye din phir kabhi ayenge or na itni masti………………………………………………………………..
Mera pyara OPJ , andar ghuste hi dil ko sukun dene wali wo radha-krishana ki murti, Har koi festival acche se celebrate karna , mess main aane ke liye bhaiyaji ka wo ghanti bajana, Aaj bhi mere kanoon ko lunch time ka 1 baje ho ya refreshment ke 5 usi ghanti ki awaz ka intjaar rahna,
wo raat ko kulfi ke liye bhagkar jana , aur golgappe ke liye night suit me hi chale jana , Wo khane ke liye hamesha mam ko kosna , waterfights ke liye hamesha mam ka dantna phir agle hi pal hamare saath photo khichwana, Chandni par hamesha har treat me menu dekhna par mix vege or chana masala hi order karna . ..........................................
Dipika ,Parul ,Tambo, Shilpi ka mast dance , pooja ke PJs , aur apni capacity se bhahar ke ek hi room main baithkar movies dekhna , han yahi sab toh tha jo meri aane wali nayi jindgi ke safar main piche chutta ja raha tha………………………………………………………………
Prity , tumhare flying kisses, tumhara mujhe pyar se gale lagana , gande se jeebh lagakar mujhe kiss karna , ek bacche se kam nahi mana h tumne mujhe, meri har problem ka solution , Prity my dear tum ho har cheez main no. one.
Nisha ka mera PC theek karna , busy hote hue bhi kabhi mujhe mana nahi karna , Farewell par mujhe sari pahnana , mere liye hamesha pray karna aur mujh par khud se bhi jyda viswash karna.
Kavi ka who exams time main rona yaar ho jayega na , baar baar room main aana aur bas chera dikhakar chale jana , tujhese sabka kuch na kuch creative seekhna.
Shilpa, meri competitor kaise itna match karta h hamara ? tera hamesha mujhe beta kahkar bulana , kabhi bhi mujhe kisi bhi cheez ke liye mana nahi karna, jab bhi akeli hoti hun tera hamesha kahna ,Neha aaj mere pass so jana
Akku meri choti si pareshani par mujhse bhi jyada pareshan ho jana, Rashmi ko hamesha mera dantna par phir bhi books mujhse hi mangna,
Shradha kya kya likhoon? meri har acchi baat ke liye appreciate karna, kuch naya karne ke liye khud aakar mujhe pure hak se karne ko kahna, luuuuuuuuuuuv u
Dipika , lv you baby , tera woh hamesha kahna tum bhi Cute or main bhi Cute, mere room me akar soni de nakhre par hamesha dance karna, tumhre liye geezar on karna ab seekh lena ab me nahi hongi .
Richa ka room main aakar wo ghante discussion karna , pata nahi kyon par hamesha tu apni si lagti thi mujhe n of corse ab bhi , nahi bhoolugi tera wo kiss jo 1st birthday par tune mujhe kiya tha, richa you were always be the 1 st one jisne hamesha mujhe kaha h Neha tu aaj bahut pyari lag rahi h.
Sonal , tumhre saath mere wo serious discussions, room main aakar tumhara irritate karna , tumhari pyari awaz , aadhi raat ko kuch khane ke liye tumhre hi room main aana.
Shilpi, hamesha meri poems ko bahut dhyan se sunna , tumhre room main khnae ke liye mangna , U know is poem ke liye bhi teri baton ne encourage kiya h mujhe.
Pooja, tere saath har party me dance karna, tujh se sabka parties ke liye kapre lena , raat ko tera or dipika ka bacchon jaisi harkatien karna.
Khushboo, ka hamesha meri har baat ko ulta lena , hamesha mujhe chidana , par jaroorat ke waqt hamesha mere saath rahana.
Shweta, mere samne wali tere saath choti choti baton par roothna or agle hi pal ek dusre ko manana, Teri poems , tere ideas, tere saath HMPL ka interview , aur tera billo rani wala dance karna, very difficult 2 forget
Chawla , meri in char salon ki hamsafar , class ho hostel hamesha tera mere saath hona, Meri har acchi cheez ke liye peeth thap thapana aur galat baat ke liye gusse se chillana, Maana chahe bahuton ne ho par tera us kadar pyar se mujhe kahna Neha , maine tujhe hamesha apni choti bahan ki tarah hi treat kiya hai , chawla tere bina ye char saal adhure hote, jane ke waqt main har kisi ke liye royi par ek tu hi thi jo mere liye gale lagkar ghanton royi,
“Palkon par kisi ke aansoon yu hi nahi aaya karte kisi ke liye , ye toh wo pyar hai jo aap apne apno se karte hain”, miss u (again public place)…
Anshul, my sweet roomie , a very nice experience with u , no more such feelings 4 you bc saath hi toh ja rahe hain yaar, bas itna hi tu bahut acchi hai mere liye bahut accha sochti hai.
Debu , meri jaan ,very difficult to describe in sum words……............
Tera most of d time mere saath rahana, projects ke liye Jaipur chakkar lagana , koi bhi decision lena ho dono ka hi ye kahana kya karna h :) , hum dono ki understading and thinking (except God).....................
hamesha mujhe pyar se rakhna , mera mood off hone par dil se kahna udas mat ho na , or khud kitna bhi paresan ho par aisa ehsaas tak na hone dena , kabhi ek dam bacchi jaisi , kabhi ek dam samjhdar , har dil me apni jagah banane wali , tere bina har masti adhoori , tera wo mujhe kabhi moti , kabhi choti kahna , galon par wo ganda wala kiss karna , jeeb chidhana , Sharma par jakar breakfast karna ,
tere liye nahi kahoongi miss u , bc I will also not miss you bc I ll always be wid you Sweety , luuuv you always……………………………………….....
Kuch lamhe jinki koi yaad nahi hoti aur kuch jo yaadien banker jindgi ka hissa sa ban jati hain , 4 years, a long time , so many people , so many memories , so many incidents , so many experiences (sum times gud n sum times bad) , so much fun , masti , ab kabhi wapas nahi ayenge , in dino ko bhool jana muskil hi nahi namumkin , nayi jindgi ke safar main yahi char saal kabhi hoton par muskurahat toh kabhi ankhon main nami bankar hamesha hamare saath rahenge isi bharose ke saath hum hain rahi pyar ke phir milenge chalte chalte……………………………………..
Wish you All the Best……………………………… - NEHA
